Chand ke pas jo sitara hai
Wo sitara hasin lagta hai – 2
Jab se tum ho meri nigaho me – 2
Har najara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai
Jindgi do dilo ki chahat hai – 3
Har khushi pyar ki amanat hai
Pyar ke pas jo
Pyar ke pas jo sahara hai
Wo sahara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai
Raat tanhaiyo ki dushman hai – 3
Har safar hamsafar se roshan hai
Moj ke pas jo
Moj ke pas jo kinara hai
Wo kinara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai
Aaj ki raat hai murado ki – 3
Roshani hai naye irado ki
Shama ke pas jo
Shama ke pas jo sharara hai
Wo sharara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai – 2
Wo sitara hasin lagta hai – 2
Chand ke pas jo sitara hai
| Movie | Sweekar Kiya Maine |
| Singer | Kishore Kumar, Lata Mangeshkar |
| Music Composer | Usha Khanna |
| Lyricist | Muqtida Hasan Nida Fazli |