Kabhi dhund hai kabhi ujaala
Raat ha gori si din hai kaala
Lamhon mein uljhi huyi
Waqt ki parchhaiya
Pedo ki chaadar odhe baithi hai tanhaaiya
Koyi nahi
Koyi nahi tere aas paas
Bas saath hai sirf ehsaas
Khaamosh waadiyon mein anjaani halchal hai
Sacchaayi ke niche har taraf daldal hai
Jo kuchh nazar aaye kya wo haqiqat hai
Sama ke harkat pe kis ki hukumat hai
Koyi nahi
Koyi nahi tere aas paas
Bas saath hai sirf ehsaas
Ehsaas
Shaq ke darwaaje pe dastak hai jhuthi si
Baithi hai jindagi ghar mein kyun roothi si
Aawaara baadal se bhatke jazbaat hai
Tukdo mein bikhare saare haalaat hai
Koyi nahi
Koyi nahi tere aas paas
Bas saath hai sirf ehsaas
Ehsaas
Ehsaas
| Movie | Via Darjeeling |
| Singer | Kunal Ganjawala |
| Director | Arindam Nandy |
| Music Composer | Prabuddha Banerjee |
| Lyricist | Vibha Singh, Sanjeev Tiwari, Gautam Nag, Arindam Nandy, Mrityunjay Kumar Singh |
| Star Cast | Kay Kay Menon, Parvin Dabbas, Prashant Narayanan, Rajat Kapoor, Simone Singh, Sandhya Mridul, Sonali Kulkarni, Vinay Pathak |

