Adhure Lyrics | Mary Kom | Sunidhi Chauhan | Shashi Suman

Geela geela bas paani palkon pe reh gaya
Dhire dhire sapna wo aankhon se beh gaya
Thoda thoda kar yaadein saari kho rahiin
Toota sa pal ek haath mein reh gaya
Hum hain adhure lamhein adhure
Sawaal adhure jawaab adhure
Woh khwaab bhi adhoora reh gaya

Geela geela bas paani palkon pe reh gaya
Dhire dhire sapna wo aankhon se beh gaya
Thoda thoda kar yadein sari kho rahiin
Toota sa pal ek haath mein reh gaya

Tanhaai haathon me le waqt khada hai
Ye dil bhi seene me behosh pada hai
Aaj aake mausam saare humko satate hain
Bejaan hai hum haare aur ye rulaate hain
Har pal andhera reh gaya

Neela neela bas dil ka zakhm wo reh gaya
Zara zara kar saara hausla beh gaya
Thoda thoda kar yaadein saari kho rahiin
Toota sa pal ik haath mein reh gaya

Hum hain adhoore lamhein adhoore
Sawaal adhoore jawaab adhoore
Wo khwab bhi adhoora reh gaya
Geela geela bas paani palkon pe reh gaya
Dhire dhire sapna wo aankhon se beh gaya
Thoda thoda kar yaadein saari kho rahiin
Toota sa pal ik haath mein reh gaya

MovieMary Kom
SingerSunidhi Chauhan
Music ComposerShashi Suman
LyricistPrashant Ingole

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *