Aao Kabhi Jo (Title) Lyrics  | Aao Kabhi Jo | Rupam Bhuyan | Rupam Bhuyan | Rupam Bhuyan

Aao Kabhi Jo (Title) Lyrics | Aao Kabhi Jo | Rupam Bhuyan | Rupam Bhuyan | Rupam Bhuyan

Aao kabhi jo dil ke nagar mein
Phir se aayegi baarishe
Sunsaan sa hai dehliz man ki
De jaao do chaar khwahishe
Naraaz ho tum jab se
Gardish mein duniya hai tab se
Tum ghar aao to main bhi jeene lagun
Aao kabhi jo dil ke nagar mein
Phir se aayegi baarishe

Ranjish nahi hai koi
Bas ye aansu na thame
Mehroom hoon ab khud se
Dhundhoon kahan main mujhe
Jo tum ho roothe sab kuch hai rootha
Kab se khada hai ghumshum andhera
Tum ghar aao to jag uthe roshani
Aao kabhi jo dil ke nagar mein
Phir se aayegi baarishe

Manzil talashu kahan main
Raahe ghum hai sabhi
Tuta hai naata rab se
Har saath yaade abhi
Tum se juda tha sapno ka saahil
Ab din adhura raate bhi kaatil
Tum ghar aao to chal pade ye jahaan
Aao kabhi jo dil ke nagar mein
Phir se aayegi baarishe
Sunsaan sa hai dehliz man ki
De jaao do chaar khwahishe..

MovieAao Kabhi Jo
SingerRupam Bhuyan
DirectorAnuprash Das
Music ComposerRupam Bhuyan
LyricistRajdweep
Star CastRupam Bhuyan
LabelTimes Music

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *