Aaine Men Ek Chaand Si Surat Nazar Aai Lyrics | Elaan | Amirbai Karnataki, Surendra Nath | Naushad

Aaine Men Ek Chaand Si Surat Nazar Aai Lyrics | Elaan | Amirbai Karnataki, Surendra Nath | Naushad

Aaine me ek chaand si surat nazar aai
Aaine me ek chaand si surat nazar aai
Sau baar hui jis pe fidaa saari khudaai
Ho surat nazar aai
Sau baar hui jis pe fidaa saari khudaai
Ho surat nazar aai

Aankho me tamnnaao kaa aabaad zamanai
Har baat kuchh aisi ke mohabbat kaa fasaanaa
Aankho me tamnnaao kaa aabaad zamana
Har bat kuchh aisi ke mohabbat ka fasana
Phulo ne nazaaqat tere rukhasaar se pai
Ho surat nazar aai
Aaine me ek chaand si surat nazar aai

Dhalkaa hua aanchal ho qayaamat ki adaaye
Detaa hai meraa dil tujhe rah-rah ke duaaye
Dhalkaa hua aanchal ho kayaamat ki adaaye
Detaa hai meraa dil tujhe rah-rah ke duaaye
Aa husn salaamat rahe aabaad rahe tu
Ai husn salaamat rahe aabaad rahe tu
Tu hai to tere dam se hai aabaad khudaai
Tu hai to tere dam se hai aabaad khudaai
O surat nazar aai
Aaine me ek chaand si surat nazar aai

MovieElaan
SingerAmirbai Karnataki, Surendra Nath
DirectorMehboob Khan
Music ComposerNaushad
LyricistZia Sarhadi
Star CastSurendra, Munawar Sultana, Zebunisa, Himalaya, Shanawaz, Agha, W M Khan, Leela Mishra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *