Zinda Hai Toh Lyrics | Bhaag Milkha Bhaag | Siddharth Mahadevan | Shankar-Ehsaan-Loy

Zinda hai toh pyala pura bhar le
Kancha phute choora kaanch kar le
Zindagi ka ye ghada le ek saans mein chadha le
Hichkiyon mein kya hai marna pura mar le……
(Koyla kaala hai chattanon ne pala
Andar kaala baahar kaala par sacha hai saala) – 2

Zinda hai toh pyala pura bhar le
Kancha phute chura kaanch kar le – 2
Uljhe kyun pairon mein ye khwaab
Kadmonse resham khinch de
Piche kuch na aage ka hisaab
Iss pal ki kyaari seench de

Aag zubaan pe rakh de phir chot ke hoth bhigaayenge
Ghaav gungunayenge tere dard geet bann jaayenge
Zinda hai toh pyala pura bhar le
Kancha phute chura kaanch kar le
Zindagi ka ye ghada le ek saans mein chadha le
Hichkiyon mein kya hai marna pura mar le
(Koyla kaala hai chattanon ne pala
Andar kaala baahar kaala par sacha hai saala) – 3
Zinda…

MovieBhaag Milkha Bhaag
SingerSiddharth Mahadevan
Music ComposerShankar-Ehsaan-Loy

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *