Zara Thaharo Main Haal-e-dil Lyrics | Inaam | Suraiya

Zara thaharo main haal-e-dil suna loon phir chale jaana
Tamannaaon ko ashqon mein baha loon phir chale jaana
Zara thaharo

Are o jaanewaale ek hi pal ke liye ruk ja -2
Main shammaa-e-zindagi apani bujha loon phir chale jaana

Zara thaharo main haal-e-dil suna loon phir chale jaana
Zara thaharo

Qayaamat ki ghadi hai aaj to ji bhar ke rone do -2
Main tumako haar ashqon ke pinha loon phir chale jaana

Zara thaharo main haal-e-dil suna loon phir chale jaana
Zara thaharo

Tere jaate hi saaj-e-zindagaani toot jaayega -2
Main apana aakari nagama suna loon phir chale jaana

Zara thaharo main haal-e-dil suna loon phir chale jaana
Tamannaaon ko ashqon mein baha loon phir chale jaana
Zara thaharo

MovieInaam
SingerSuraiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *