Yeh Vadi E Kashmir Lyrics | Aabroo | Mohammed Rafi | Sonik Omi

Yeh Vadi E Kashmir Lyrics | Aabroo | Mohammed Rafi | Sonik Omi

Har chehra yaha chaand
Har chehra yaha chaand to har zarra sitara
Har chehra yaha chaand to har zarra sitara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand to har zarra sitara
Har chehra yaha chaand to har zarra sitara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand

Hasati hain jo kaliya to hasin phul hain khilate
Hasati hain jo kaliya to hasin phul hain khilate
Hain log yahaan jaise utar aaye farishte
Har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara
Har dil se nikalti hai yahaan pyar ki dhaara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand

Ye chotiya barfo ki hain aazadi ka parcham
Ye chotiya barfo ki hain aazadi ka parcham
Hansti hai gulami pe ye inasan ki hardam
Deti hai ye aakash ko baaho ka sahara
Deti hai ye aakash ko baaho ka sahara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand

Din-raat hava saaj bajati hai suhaane
Din-raat hava saaj bajati hai suhaane
Nadiyo ke labo par hain mohabbat ke taraane
Masti me hai duba hua behosh kinara
Masti me hai duba hua behosh kinara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand

Ye jalwa-e-rangin hai kisi khwab ki taabir
Ye jalwa-e-rangin hai kisi khwab ki taabir
Yaa phulo me baithi hui dulhan ki hai tasvir
Ya tham gaya chalta huaa pariyo ka shikara
Ya tham gaya chalta huaa pariyo ka shikara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand to har zarra sitara
Har chehra yaha chaand to har zarra sitara
Ye vaadi-e-kashmir hai jannat ka nazara
Jannat ka nazara
Har chehra yaha chaand

MovieAabroo
SingerMohammed Rafi
DirectorC L Rawal
Music ComposerSonik Omi
LyricistG S Rawal
Star CastTun Tun, Deepak Kumar, Vimmi, Ashok Kumar, Rehman, Jeevan, Mukri, Ashok Kumar, Lalita Pawar, Nirupa Roy, Sunder, Vimi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *