Yeh Pyaar Hai Dushman Dil Ka Lyrics | Pehli Nazar Mein (1996) | M M Kreem | M M Kreem

(Yeh pyaar hai dushman dil ka
Phir bhi na jaane kyun dushman yeh pyaara lage) – (2)
Deewaane kitane dube, phir bhi na jaane kyun
Bhanwar yeh kinaara lage, yeh pyaar hai

Yeh churaaye nind bhi sapane bhi tod de
Waada karein dur ka raah mein chhod de
Gale jab bhi mile, khilein dil ki kali
Sukun kho jaaye phir, mili ghum ki gali
Jawaani mein machi rahein khalbali
Yeh kaatil sahaara lage
Yeh pyaar hai dushman dil ka
Phir bhi na jaane kyun dushman yeh pyaara lage
Yeh pyaar hai

Duniya ko hai khabar pyaar mein hai jehar
Par sabhi pite hain, jehar ki yeh lehar
Bujhe jo na kabhi wahin yeh pyaas hao
Samajh na aaye jo yeh woh ehsaas hai
Mite na jo kabhi yeh woh aas hai
Yeh kismat ka taara lage
Yeh pyaar hai dushman dil ka
Phir bhi na jaane kyun dushman yeh pyaara lage
Deewaane kitane dube, phir bhi na jaane kyun
Bhanwar yeh kinaara lage

MoviePehli Nazar Mein (1996)
SingerM M Kreem
Music ComposerM M Kreem

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *