Ye Kahe Chandni Raat, Suna Do Apne Dil Ki Baat Lyrics | Nirmohi | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Ye Kahe Chandni Raat, Suna Do Apne Dil Ki Baat Lyrics | Nirmohi | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Ye kahe chaandani raat
Suna do apne dil ki baat
Aayi rut mastaani
Aayi rut mastaani

Mohe kahte aaye laaj
Kisi ki do aankho ne aaj
Kah di pyaar ki kahaani
Kah di pyaar ki kahaani

Koyi naye taraane laaya
Koyi khwaab suhaane laaya
Koyi naye taraane laaya
Koyi khwaab suhaane laaya
Ab tak naa sune kaano ne
Aise afsaane laaya
Aise afsaane laaya
Is dil me basaayi aag
Kiya ye suna ghar aabaad
Teri badi meharbaani
Teri badi meharbaani
Ye kahe chaandani raat
Suna do apne dil ki baat
Aayi rut mastaani
Aayi rut mastaani

Dil sari baate jaane
Jaane fir bhi na maane
Dil sari baate jaane
Jaane fir bhi na maane
Main puchu naam piya ka
Ye sau sau kare bahaane
Ye sau sau kare bahaane
Ab ulti sikhi reet
Main apni haar ko samjhi jeet
Dekho preet diwani
Dekho preet diwani
Ye kahe chaandani raat
Suna do apne dil ki baat
Aayi rut mastaani
Aayi rut mastaani

MovieNirmohi
SingerLata Mangeshkar
DirectorBrij Sharma
Music ComposerMadan Mohan
LyricistP N Rangeen
Star CastSajjan, Nutan, Amarnath, Chaman Puri, Neeru, Leela Mishra, C L Kavish, Raj Mehra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *