Yaadon Ko Bas Woh Yaad Hai Lyrics | Woh Bewafa (Album) | Agam Kumar Nigam | Nikhil

Yaadon Ko Bas Woh Yaad Hai Lyrics | Woh Bewafa (Album) | Agam Kumar Nigam | Nikhil

Yaadon ko bas wo yaad hai
Khwaabon mein uska hi khwaab hai
Yaadon ko bas wo yaad hai
Khwaabon mein uska hi khwaab hai
Na jagta hu
Na sota hu
Raaton mein uthke rota hu
Aankhon mein bas barsaat hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Yaadon ko bas wo yaad hai

Din nahi katata hai
Raat ye bojhal hai
Aise haalato me
Zindagi mushkil hai
Wo puraani baatein
Hai jehan mein ab bhi
Jal rahi hai saanse
Us jalan mein ab bhi
Na jee paau
Na mar paau
Sine mein wo jajbaat hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Yaadon ko bas wo yaad hai

Ab to deewaro se
Baat karta hu main
Mera kal kya hoga
Isse darta hu main
Jis tarah ek pal mein
Wo khafa ho baitha
Pyaar karte karte
Bewafa ho baitha
Na main jaanu
Na dil jaane
Bas wo jaane
Kya raaz hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Yaadon ko bas wo yaad hai
Khwaabon mein uska hi khwaab hai
Na jagta hu
Na sota hu
Raaton mein uthke rota hu
Aankhon mein bas barsaat hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai
Jo chala gaya mujhe chhodke
Wo aaj bhi dil ke paas hai

MovieWoh Bewafa (Album)
SingerAgam Kumar Nigam
Music ComposerNikhil
LyricistPraveen Bhardwaj

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *