Yaado Ka Sahara Na Hota Lyrics  | Patthar Ke Khwab | Mahipal, Parveen Choudhary | Talat Mahmood | Datta Naik

Yaado Ka Sahara Na Hota Lyrics | Patthar Ke Khwab | Mahipal, Parveen Choudhary | Talat Mahmood | Datta Naik

Yaado ka sahara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete
Ye dard jo pyara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete

Tuta hua dil tute arman
Teri hai amanat pas mere
Tuta hua dil tute arman
Teri hai amanat paas mere
Teri hai amanat paas mere
Ye dil jo tumhara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete
Yaado ka sahara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete

Shayad ke tere kam aa jaye
Ye jan meri o jan e jigar
Shayad ke tere kam a jaye
Ye jan meri o jan e jigar
Ye jan meri o jan e jigar
Qismat ka ishara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete
Yaado ka sahara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete

Ruk jayen kaha hain kisko khabar
Dauran e safar ya manzil par
Dauran e safar ya manzil par
Gardish mein sitara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete
Ye dard jo pyara na hota
Hum chhod ke duniya chal dete.

MoviePatthar Ke Khwab
SingerTalat Mahmood
DirectorPal Premi
Music ComposerDatta Naik
LyricistPremi
Star CastMahipal, Parveen Choudhary, D.K. Sapru, Mohan Choti, Jeevan Kala, Amarnath, Madhumati
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *