Woh Baarishein (Title) Lyrics  | Woh Baarishein | Arjun Kanungo, Shriya Pilgaonkar | Arjun Kanungo | Arjun Kanungo

Woh Baarishein (Title) Lyrics | Woh Baarishein | Arjun Kanungo, Shriya Pilgaonkar | Arjun Kanungo | Arjun Kanungo

Woh bhi kya shaam thi
Barse thhe toot ke
Baadal july ke har jagah

Haathon mein chhatriyaan
Dono ke thi magar
Bheege thhe dono hi bewajah

Woh baarishein kya ho gayi
Kya ho gayi woh baarishein?
Tum benishan kyun ho gaye?
Dhoondhoon kahan tumhe…

Hazaaron aansu main sambhaale baitha hoon
Rulaane aayi hain mujhe jaane kyun yaadein
Bhulaaun kaise main woh saari barsaatein
Guzaari thi humne jo saath mein

Woh baarishein kya ho gayi
Kya ho gayi woh baarishein?
Tum benishan kyun ho gaye?
Dhoondhoon kahan tumhe…

Shaamein.. Ye neeli si shaamein
Aayin.. To laayin yaad teri yaad
Main hoon tere bina tanha
Lauta de mujhe woh bheega hua lamha

Woh baarishein kya ho gayi
Kya ho gayi woh baarishein
Tum benishan kyun ho gaye
Woh baarishein woh baarishein
Woh baarishein kya ho gayi
Kya ho gayi woh baarishein

Ye dooriyaan, kyun aa gayi
Rehna tha sang humein

Dhoondhoon kahaan tumhein?.

MovieWoh Baarishein
SingerArjun Kanungo
DirectorDanny Mamik
Music ComposerArjun Kanungo
LyricistManoj Muntashir
Star CastArjun Kanungo, Shriya Pilgaonkar
LabelVYRLOriginals

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *