Wo paas bhi rahkar paas nahi
Ham dur bhi rahkar dur nahi – 2
Do bichchde huye dil mil jaye
Kismat ko bhi manzur nahi – 2
Wo aaye to dil ka afsana
Ham kah na sake wo sun na sake
Wo hamse juda kyu rahte hai – 2
Jo dil se hamare dur nahi – 2
Wo paas bhi rahkar paas nahi
Ham dur bhi rahkar dur nahi – 2
Ai bigdi huyi taqdir bata
Kya hamse huyi hai aisi khata
Kashti ko kinara mil jaye – 2
Bedard tujhe manzur nahi – 2
Woh paas bhi rahkar bhi paas nahi
Ham dur bhi rahkar dur nahi – 2
| Movie | Afasaana |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Music Composer | Bhagatram Batish |
| Lyricist | Asad Bhopali |