Udate Hain Mere Gam Kee Hansee Lyrics | Ek Hi Raasta (1956) | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

Udate hain mere gam kee hansee tere jahan vale
Tamasha dekh le tu bhee tamasha dekhane vale

Bekas kee aabaru ko nilam kar ke chhoda
Aakir tere jahan ne badnam kar ke chhoda

Ham aansuo ko pikar baithe the muskarane
Dekha gaya na tujhase itna bhee o jamane
Chhotee see aarju ko nakam kar ke chhoda
Bekas kee aabaru ko

Pehle toh gam diya phir gam kee hansee udayee
Jalim hai teree duniya malik teree duhayee
Tere jahan ne teraa bhee nam kar ke chhoda
Bekas kee aabaru ko

MovieEk Hi Raasta (1956)
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerHemant Kumar
LyricistMajrooh Sultanpuri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *