Tune Mera Yaar Na Milaaya Lyrics | Shama Parwana (1954) | Mohammad Rafi | Husnlal-Bhagatram

Teri kudrat teri tadbir mujhe kya maalum
Banati hogi kahin takdeer mujhe kya maalum
O tune mera yaar na milaaya, o main kya jaanu teri yeh khudaayi – (2)
O tune mera yaar -3 na milaaya, o main kya jaanu teri yeh khudaayi

Main des des phira kuchh nishaan nahi milata
Teri jamin pe mera kaarwaan nahi milata
Jahaan mein aane se pehale jise milaaya tha
Kahaan gaya woh mra meherbaan nahi milata
O o o tune mera yaar na milaaya, o main kya jaanu teri yeh khudaayi
O tune mera yaar -3 na milaaya, o main kya jaanu teri yeh khudaayi

Agar tu chaahe toh patthar ke dil ko pyaar mile
Khija ko rang toh viraane ko bahaar milein
Yeh kya sitam hai ke main hi na pa saku usako
Ke jisake milane se dil ko mere karaar milein
O o o tune mera yaar na milaaya, o main kya jaanu teri yeh khudaayi
O tune mera yaar -3 na milaaya, o main kya jaanu teri yeh khudaayi

Pahaad ghum ka mere daste naatawase utha
Magar yeh dur ka parada na darmiyaan se utha
Utha yeh duri ka parada jo tujhase mumkin ho
Nahi toh ke mujhiko phir iss jahaan se utha aa aa aa aa……
O o o tune mera yaar na milaaya, main kya jaanu teri yeh khudaayi
O tune mera yaar -3 na milaaya, main kya jaanu teri yeh khudaayi

MovieShama Parwana (1954)
SingerMohammad Rafi
Music ComposerHusnlal-Bhagatram

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *