Tumhe hum pyaar na karate toh aur kya karate – (2)
Hamaari aankhon ko deedaar ki tamanna thi – (2)
Hum intjaar na karate toh aur kya karate – (2)
Hamaari inn khumaariyon ko pehchaanate nahi
Tadap ko ehsaas ko tum jaanate nahi
Tumase izhaar na karate toh aur kya karate – (2)
Hamaarein dard se tum mehfuj ho sanam
Abb saha na jaaye hamse yeh judaayi ka ghum
Tumase ukraar na karate toh aur kya karate – (2)
Hamaari aankhon ko deedaar ki tamanna thi
Hum intjaar na karate toh aur kya karate
Tumhe hum pyaar na karate toh aur kya karate
| Movie | Tulsi Kumar - Love Ho Jaaye |
| Singer | Tulsi Kumar |
| Music Composer | Monty Sharma |
| Lyricist | Sameer |