Tum gagan ke chandrama ho
Mai dhara ki dhul hu
Mai dhara ki dhul hu
Tum pralay ke devta ho
Tum pralay ke devta ho
Mai samarpit phul hu
Tum ho puja mai pujari
Tum sudha mai pyaas hu
Tum sudha mai pyaas hu
Tum maha sagar ki seema
Mai kinare ki lahar
Tum maha sangit ke swar
May adhuri saaj bhar
Tum ho khoya mai hu chaya
Tum kshama mai bhul hu
Tum gagan ke chandrama ho
Mai dhara ki dhul hu
Mai dhara ki dhul hu
Aa aa aa aa….
Tum usha ki lalima ho
Bhor ka sindur ho
Mere prano ki ho gunjan
Mere man ki mayur ho
Tum ho puja mai pujari
Tum sudha mai pyas hu
Tum gagan ke chandrama ho
Mai dhara ki dhul hu
Mai dhara ki dhul hu
Tum gagan ke chandrama.
| Movie | Sati Savitri |
| Singer | Lata Mangeshkar, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) |
| Director | Shantilal Soni |
| Music Composer | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) |
| Lyricist | Bharat Vyas |
| Star Cast | Mahipal, Anjali Devi, Jeevan, B M Vyas, Aruna Irani, Mohan Choti, Niranjan Sharma, Ramayan Tiwari |
| Label | Saregama |

