Tum Chand Ke Sath Chale Aao Lyrics | Aashiyana | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Tum chand ke sath chale aao, yeh rat suhani ho jaye
Kuchh tum keh do, kuchh ham keh de, aur ek kahani ho jaye
Tum chand ke sath………

Khamosh kinare soye hain, chup chaap hain nadiya ki lahere
Ithlate huye tum aa jao lahero me rawani ho jaye
Tum chand ke sath………

Biti huyi ghadiyo ki yade, aise me agar ham dohraye
Masum mohabbat musakaye bedar jawani ho jaye
Tum chand ke sath………

MovieAashiyana
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerMadan Mohan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *