Tum bin jiwan kaise bita, (puchho mere dil se – 2)
Sawan ke din aaye, biti yade laye
Kaun jhukakar ankhe, mujhko pas bithhaye
Kaisa tha pyara rup tumhara, (puchho mere dil se – 2)
Tum bin jiwan……
Prem kaa sagar hay charo taraf leharaye
Jitna aage jau, gehra hota jayey
Gham ke bhanwar me kya kya duba, (puchho mere dil se – 2)
Tum bin jiwan……
Jaise jugnu ban me, too chamke ansuwan me
Ban kar phul khili ho, janey kis bagiya me
Mai apni kismat pe roya, (puchho mere dil se – 2)
Tum bin jiwan……
| Movie | Anita |
| Singer | Mukesh |
| Music Composer | Laxmikant-Pyarelal |
| Lyricist | Raja Mehdi Ali Khan |