Tanha Dil (Aankho Me Sapne Liye) Lyrics | Tanha Dil (Album) | Shaan | Ram Sampath

Tanha Dil (Aankho Me Sapne Liye) Lyrics | Tanha Dil (Album) | Shaan | Ram Sampath

Aankho me sapne liye ghar se hum chal to diye
Jaane ye raahe ab le jaayegi kaha
Mitti ki khushbo aaye palko pe aansu laaye
Palko pe reh jaayega yaado ke jaha
Manzil nayi hai anjaana hai kaarvaan
Chalna akele hai yaha tanha dil tanha safar
Dhoondhe tujhe phir kyu nazar
Tanha dil tanha safar dhoondhe tujhe
Phir kyu nazar tanha dil

Dilkash nazaare dekhe jhilmil sitaare dekhe
Aankho me phir bhi tera chehra hai jawaan
Kitni barsaatein aayi kitni saugaatein laayi
Kaano me phir bhi goonje teri hi sada
Vaade kiye the apna hoga aashiyaan
Vaado ka jaane hoga kya
Tanha dil tanha safar dhoonde tujhe
Phir kyu nazar tanha dil tanha safar
Dhoonde tujhe phir kyu nazar tanha dil

Aankho me sapne liye ghar se hum chal to diye
Jaane ye raahe ab le jaayegi kaha
Mitti ki khushbo aaye palko pe aansu laaye
Palko pe reh jaayega yaado ke jaha
Manzil nayi hai anjaana hai kaarvaan
Chalna akele hai yaha tanha dil tanha safar
Dhoondhe tujhe phir kyu nazar
Tanha dil tanha safar dhoondhe tujhe
Phir kyu nazar tanha dil tanha dil tanha dil

MovieTanha Dil (Album)
SingerShaan
Music ComposerRam Sampath

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *