Suna Hai Teri Aankhon Mein Lyrics | Tere Honthon Ko Salam | Ashok Khosla | Ashok Khosla | Ashok Khosla

Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai
Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai
Izazat ho to main bhi
Inse thodi roshani leloon
Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai

Mere pehaloon mein le aaye
Agar teri wafa tujhko
Bitha de aasman par teri
Aankhon ki jeeya mujhko
Jo aisa ho to main tujhse
Ek nayi zindagi le loon
Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai

Koi aandhi agar aayi
Tujhe baahon mein lelunga
Mohabbat ki hifazat mein
Teri zulfon se khelunga
Jo tu chahe to ghum dekar
Muqaddar se khushi le lun
Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai

Mohabbat karne wale
Yun to dekhe hain maine
Tum hi se paayi hain lekin
Har ek rahat maine
Humesha ke liye main
Kyun na teri dil kashi leloon
Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai
Izazat ho to main bhi
Inse thodi roshani leloon
Suna hai teri aankhon mein
Sitare jagmagate hai.

MovieTere Honthon Ko Salam
SingerAshok Khosla
Music ComposerAshok Khosla
LyricistQateel Shifai
Star CastAshok Khosla
LabelUniversal Music

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *