Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataye badh-badh ke
Mehki havayen behke kadam mere
Aise mein thaam lo aa ke balam more
Patta bhi khadke to bijli si kadke,
Dard jawaani ka sataye badh-badh ke…
Pyaar ko mere kisne pukara
Dil mein utar gayiaa kiska ishaara
Yaad ye kiski layi pakad ke,
Dard jawaani ka sataye badh-badh ke…
Dekha jo tumko dard gaya tham
Ab to na honge tumse juda ham
Jee na sakenge tumse bichhad ke
Dard jawaani ka sataye badh-badh ke…
| Movie | Albela (1951) |
| Singer | C Ramchandra, Lata Mangeshkar |
| Music Composer | C Ramchandra |
