Shisha-E-Dil Itna Na Uchhalo Lyrics | Dil Apna Aur Preet Parai | Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan

Shisha-E-Dil Itna Na Uchhalo Lyrics | Dil Apna Aur Preet Parai | Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan

La la la la
La la la la
La la la la
La la la la
La la la
La la la la
La la la
La la la la

Machalti-jhoomti thandi hawaye kehti hai
Tadapti maujon ki chanchal adaye kehti hai
Sanwaro zulf ko kali ghataye kehti hai
Ye bhigi-bhigi suhani fizaye kehti hai
Tumhi se aj tumhari nigahe kehti hai
Tumhi se aj tumhari nigahe kehti hai
O o o o
Shisha-e-dil itana na uchhalo
Shisha-e-dil itana na uchhalo
Ye kahi toot jaega
Ye kahi phoot jaega
Shisha-e-dil itana na uchhalo

Nazare ho gaye qurban in nazaro par
Machalke a gayi lahare bhi ab isharo par
Ada se tairte phirte hai ham to dharo par
Karenge pyar ka jadu javan baharo par
Ye kahane ai hai sou machhaliya kinaro par
Ye kahane ai hai sou machhliya kinaro par
O o o o
Shisha-e-dil itana na uchhalo
Shisha-e-dil itana na uchhalo
Ye kahi toot jayega
Ye kahi phoot jayega
Shisha-e-dil itana na uchhalo
La la la la
La la la la
La la la la
La la la la
La la la
La la la la
La la la
La la la la

Sambhalo hosh ke dariya ka gahra pani hai
Na doob jao kahin bekhabar jawani hai
Jawan bahar kinaron pe ani-jani hai
Zara khayal rahe dil ajab nishani hai
Abhi to pyar ki duniya tumhe basani hai
Abhi to pyar ki duniya tumhe basani hai
O o o o
Shisha-e-dil itna na uchhalo
Shisha-e-dil itna na uchhalo
Ye kahin toot jayega
Ye kahin phoot jayega
Shisha-e-dil itana na uchhalo

MovieDil Apna Aur Preet Parai
SingerLata Mangeshkar
DirectorKishore Sahu
Music ComposerShankar Jaikishan
LyricistHasrat Jaipuri
Star CastRaaj Kumar, Meena Kumari, Om Parkesh, Nadira, Helen, Pratima, Tun Tun, Pratima Devi, Sulochana, Shammi Kapoor, Kumar, Naaz, Yusuf, Ravi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *