Shauq Se Naakaami Ki Badaulat Kuchaa E Dil Hi Chhut Gayaa Lyrics | Best Of Ghulam Ali (Album) | Ghulam Ali

Shauq Se Naakaami Ki Badaulat Kuchaa E Dil Hi Chhut Gayaa Lyrics | Best Of Ghulam Ali (Album) | Ghulam Ali

??shauq se naakaami ki badaulat
Kuchaa e dil hi chhut gaya
Saari ummide toot gai
Dil baith gaya ji chhut gaya
Shauq se naakaami ki badaulat
Kuchaa e dil hi chhut gaya

Lijiye kya daaman ki khabar
Aur dasht e junun ko kya kahiye
Lijiye kya daaman ki khabar
Aur dasht e junun ko kya kahiye
Apne hi haath se dil ka daaman
Muddat guzri chhut gaya
Shauq se naakaami ki badaulat
Kuchaa e dil hi chhut gaya

Manzil e ishq pe tanha pahunche
Koi tamannaa saath na thi
Manzil e ishq pe tanha pahunche
Koi tamannaa saath na thi
Thak thak kar ek raah me aakhir
Ek ek saathi chhut gaya
Shauq se naakaami ki badaulat
Kuchaa e dil hi chhut gaya

Faani hum to jite ji wo mayyat hain
Be gor o qafan
Faani hum to jite ji wo mayyat hain
Be gor o qafan
Gurbat jisko raas na aai
Aur watan bhi chhut gaya
Shauq se naakaami ki badaulat
Kuchaa e dil hi chhut gaya
Saari ummide toot gai
Dil baith gaya ji chhut gaya

MovieBest Of Ghulam Ali (Album)
SingerGhulam Ali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *