Sharma Na Yu Ghabara Na Yu Lyrics | Joshilaa | Asha Bhosle, Dev Anand | R D Burman

Sharma na yu ghabara na yu, parda kiye yeh rat hain – (2)
Tarana dhadkan ka na sine me daba
Na koyee janega yeh aapas kee bat hain, hai na
Sharma na yu ghabara na yu, parda kiye yeh rat hain
Tarana dhadkan ka na sine me daba, na daba, na daba
Na koyee janega yeh aapas kee bat hain, bolo na
Sharma na yu ghabara na yu, parda kiye yeh rat hain

Hmm chup kyon ho nahee toh, khoye khoye se kyon ho nahee toh
Phir kuchh bolo na, kya bolu
(Khoya khoya kyon hain har khushee hain teree
Phul se jism kee tajgi hain teree) – (2)
Yeh tohfa gulshan ka na pake yu gawa
Ke abb jo bhee hain sab tere hath hain, hain na
Sharma na yu ghabara na yu, parda kiye yeh rat hain

Tum nahee piyogee mai nahee pita
Sirf ek ghut sirf ek ha meree khatir, aapkee khatir
(Pyasa pyasa kyun hain aisa ka jam le
Mai tuhje tham lyu tu mujhe tham le) – (2)
Bahana bholepan ka banake na sata na sata
Ke badee mushkil se phir aatee yeh rat hai, bolo na
Sharma na yu ghabara na yu, parda kiye yeh rat hain
Tarana dhadkan ka na sine me daba na daba
Na koyee janega yeh aapas kee bat hain, bolo na
Sharma na yu ghabara na yu, parda kiye yeh rat hain

MovieJoshilaa
SingerAsha Bhosle, Dev Anand
Music ComposerR D Burman
LyricistSahir Ludhianvi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *