Sawariya Aaye Hai badarwa Chaye Hai Lyrics | Ilzam (1970) | Asha Bhosle | Usha Khanna

Sawariya aaye hai badarwa chaye hai – 2
Hone lage bechain ho phir se nain
Ho phir se nain
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai

Phul khile hai armano ke
Man ki bagiya jhum rahi hai
Aaj hamari gaw ki dharti
Paw kisi ke chum rahi hai
Aaj khushi se chamak uthe hai
Bujhe bujhe se nain
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai

Suraj jaisa mukhda leke
Parwat jaisa sine tane
Wo aaye hai jinko manwa
Janm janm ka sathi mane
Unki lagan se unka man hai
Jivan ka sukh chayan
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai – 2
Hone lage bechain ho phir se nain
Ho phir se nain
Sawariya aaye hai badarwa chaye hai
Sawariya aaye hai

MovieIlzam (1970)
SingerAsha Bhosle
Music ComposerUsha Khanna
LyricistAsad Bhopali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *