Rat ke pichhale paharo me, tum kya jano ham kyo roye
Rat ke pichhale paharo me
Aansu naa thame dukh so naa saka -2, thak har ke tare bhi soye
Biraha kee ghataye aisi uthi -2, bin garje badal baras gaye
Aise ghanaghor andhero me hamane kitne moti khoye
Bedardi tum kya samajhoge -2, kya biti thi apne dil par
Jab aag bhari barasato me, ankho ne angare boye
| Movie | Anjali |
| Singer | Asha Bhosle |
| Music Composer | Jaidev Verma |
| Lyricist | Nyaya Sharma |