Rasm E Ulfat Ko Nibhaye Lyrics  | Dil Ki Rahen | Rakesh Pandey, Rehana Sultan | Lata Mangeshkar | Madan Mohan Kohli

Rasm E Ulfat Ko Nibhaye Lyrics | Dil Ki Rahen | Rakesh Pandey, Rehana Sultan | Lata Mangeshkar | Madan Mohan Kohli

Rasm e ulfat ko nibhaye
To nibhaye kaise
Rasm e ulfat ko nibhaye
To nibhaye kaise
Har taraf aag hai daman
Ko bachaye kaise
Har taraf aag hai daman
Ko bachaye kaise
Rasm e ulfat ko nibhaye

Dil ki raho mein uthate
Hai jo duniya wale
Dil ki raho mein uthate
Hai jo duniya wale
Koi kahe de ke woh
Deewar giraye kaise
Koi kahe de ke woh
Deewar giraye kaise
Rasm e ulfat ko nibhaye

Dard mein dube huye
Nagame hazaro hai magar
Dard mein dube huye
Nagame hazaro hai magar
Saaz e dil tut gaya
Ho to sunaye kaise
Saaz e dil tut gaya
Ho to sunaye kaise
Rasm e ulfat ko nibhaye

Bojh hota jo gamo ka
To utha bhi lete
Bojh hota jo gamo ka
To utha bhi lete
Zindagi bojh bani ho
To uthaye kaise
Zindagi bojh bani ho
To uthaye kaise
Rasm e ulfat ko nibhaye
To nibhaye kaise
Rasm e ulfat ko nibhaye.

MovieDil Ki Rahen
SingerLata Mangeshkar
DirectorB.R. Ishara
Music ComposerMadan Mohan Kohli
LyricistNaqsh Lyallpuri
Star CastRakesh Pandey, Rehana Sultan, Sulochana Latkar, Dilip Dutt, Johnny Whisky, Amrit Lakhanpal
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *