Ras Rachao Sakhi Hilmil Gao Sakhi Lyrics | Murliwala | Lata Mangeshkar | Sudhir Phadke

Ras Rachao Sakhi Hilmil Gao Sakhi Lyrics | Murliwala | Lata Mangeshkar | Sudhir Phadke

Ras rachao sakhi hilmil gao sakhi
Mauj manao sakhi
Madhuban me man mohan ko
Sakhi bandh rakho
Bal baiyo ke dridh bandhan me
Man mohan ko sakhi bandh rakho
Bal baiyo ke dridh bandhan me

Ise bandh ke rakho jamuna
Jal ki madhur hilor se
Shital mand pawan se bandho
Chandar kiran ki dor se
Prano ke taro se bandho
Bandho suman sugandh se
Sanso ke dhago se bandho
Bandho hariday ke chand se
Naine milao man man muskao
Madhu ras barsao more jiwan me
Man mohan ko sakhi bandh rakho
Bal baiyo ke dridh bandhan me

Tum jaoge sham to
Vyakul ankhiya bhar bhar aayengi
Ye ghadiya moti ki ladiya ur par lahrayengi
Madhav tum bin madhuwan ki
Ye kaliya kumla jayegi
Kaliya kumla jayegi
Jamuna ki ye vikal lahariya
Geet virah ke gayegi
Preet nibha ab kahe sharmao
Mat bhed chupao in naynan me
Man mohan ko sakhi bandh rakho
Bal baiyo ke dridh bandhan me

MovieMurliwala
SingerLata Mangeshkar
DirectorVasant Painter
Music ComposerSudhir Phadke
LyricistBharat Vyas
Star CastShashi Kapoor, Vijayalaxmi, Mahipal, Gulab, Durga Khote, Krishan Kumari

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *