(Kuch bole hue lafzo me chupi bate
Aur adh-khuli aankho me kati rate) – (2)
Gumsum dabe dabe sulagte arman
Khuwab nigaho me hogaye mehman
(Rabba re kya hua rabba re dil gaya
Rabba kya majra kya khoya kya mil gaya) – (2)
(Kuch jalte badan par meethi barsate
Phir khoi huwi raaho me mulaqate) – (2)
Halchal ruki ruki aur dharkan bole
Yunhi kisi apne ke sang woh ho le
(Rabba re kya hua rabba re dil gaya
Rabba kya majra kya khoya kya mil gaya) – (2)
(Kuch sehme sisakte yunhi khayalo me
Aur anjani tanhai ke halo me) – (2)
Basti jagi jagi kya sargam chere
Yaad ki dori ko tham ke na chore
(Rabba re kya hua rabba re dil gaya
Rabba kya majra kya khoya kya mil gaya) – (3)
| Movie | Aashayein |
| Singer | Shiraz Uppal |
| Music Composer | Shiraz Uppal |
| Lyricist | Shakeel Sohail |