Pyase Huye Nain Sulag Gayi Sham Lyrics | Afsana (1966) | Lata Mangeshkar | Chitragupta Shrivastava

(Pyase huye nain sulag gayi sham
Jab jab hotho se laga hai tera nam) – (2)
Pyase huye nain

(Yad teri aayi to khwab ye dikhaya
Dur hi se chhu raha hai tan ko tera saya) – (2)
Uski bujhe aag kaha
Jisko pada teri yad se kam
Pyase huye nain sulag gayi sham
Jab jab hotho se laga hai tera nam
Pyase huye nain

(Chandani me khoyi pukarti hai bahe
Pyas meri badlo me dhundti hai rahe) – (2)
Uski mite pyas kaha
Jisko pada teri yad se kam
Pyase huye nain sulag gayi sham
Jab jab hotho se laga hai tera nam
Pyase huye nain

MovieAfsana (1966)
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerChitragupta Shrivastava
LyricistMajrooh Sultanpuri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *