Pyaasi Hi Reh Gayi Lyrics  | Mohabbat Ki Arzoo | Zeba Bakhtiar, Rakesh Bedi | Vinod Rathod | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Pyaasi Hi Reh Gayi Lyrics | Mohabbat Ki Arzoo | Zeba Bakhtiar, Rakesh Bedi | Vinod Rathod | Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)

Pyaasi hi reh gayi mohabbat ki aarzoo
Aansu hi de gayi mohabbat ki aarzoo
Duniya meri looti hai manzil ke aas paas
Kya kya dikha rahi mohabbat ki aarzoo

Raha jo dil mein
Raha jo dil mein mohabbat ka devta ban kar
Raha jo dil me inmohabbat ka devta ban kar
Nazar churat hai ab wo bhi
Bewafa ban kar bewafa ban kar
Raha jo dil mein mohabbat ka devta ban kar
Nazar churat hai ab wo bhi
Bewafa ban kar bewafa ban kar

Kise khabar thi wo aisa bhi rang badlega
Kise khabar thi wo aisa bhi rang badlega
Ke deke aas duniya ke sang badlega
Zehar banega wo hi dard ki dawa ban kar
Raha jo dil mein mohabbat ka devta ban kar
Nazar churat hai ab wo bhi
Bewafa ban kar bewafa ban kar

Kaha gaye sabhi wade kaha gayi kasme
Kaha gaye sabhi wade kaha gayi kasme
Kaha gayi wo mohabbat wo pyar ki rasme
Kaha tha jaan bhi de denge
Kaha tha jaan bhi de denge ham wafa ban kar
Raha jo dil mein mohabbat ka devta ban kar
Nazar churat hai ab wo bhi ab wo bhi
Bewafa ban kar bewafa ban kar
Bewafa ban kar bewafa ban kar.

MovieMohabbat Ki Arzoo
SingerVinod Rathod
DirectorK.C. Bokadia
Music ComposerLaxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
LyricistHasrat Jaipuri
Star CastZeba Bakhtiar, Rakesh Bedi, Ashwini Bhave, Birbal, Danny Denzongpa, Rishi Kapoor, Kader Khan, Mukesh Khanna, Mehmood, Jagdish Raj
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *