Pehle Pyaar Ka Pehla Ghum Lyrics | Papa Kehte Hain | Kavita Krishnamurthy | Rajesh Roshan

(Pehle pyaar ka pehla ghum -2, pehli baar hain aankhen nam
Pehla hai tanhaai ka ye mausam, aa bhi jaao varna ro denge ham) – (2)

Hamne the dekhe saath jo milke, sapne ruth gaye
Saare khilaune kaanch ke nikle, chhan se tut gaye
Abb ham hain tanhai hai -2, ek udaasi chhaai hai
Dhadakan bhi hai jaise maddham maddham
Aa bhi jaao varna ro denge ham

Tum jo nahi toh duniya hamko achchhi nahi lagati
Tum jo nahi toh baat koi ho sachchi nahi lagati
Hamne dil ko samjhaya -2, sau baaton se bahlaaya
Lekin dil ka dard nahi hota kam
Aa bhi jaao varna ro denge ham

Pehle pyaar ka pehla ghum, pehli baar hain aankhen nam
Pehla hai tanhaai ka ye mausam, aa bhi jaao varna ro denge ham

MoviePapa Kehte Hain
SingerKavita Krishnamurthy
Music ComposerRajesh Roshan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *