Paditji Ne Hath Mera Lyrics | Loafer (1996) | Alka Yagnik, Udit Narayan | Anand Shrivastav

Padit ji ne hath mera dekha tha nainital me – 2
Kaha tha mujhse
Kya kaha kya kaha
Kaha tha mujhse shadi teri hogi atharah saal me

Padit ji ne hath mera dekha tha bhopal me – 2
Kaha tha pyare
Kya kaha kya kaha
Kaha tha pyare kabhi na padna shadi ke janjal me

Padit ji ne hath mera dekha tha nainital me
Padit ji ne hath mera dekha tha bhopal me

Atharah saal aur ek mahine ki mai ho gai raja – 2
Ghode hathi sang barati leke jaldi se aaja
Baho ke har se bhar de maag pyar se

Chain mujhe aayega jab mai aaungi sasural me
Padit ji ne hath mera dekha tha bhopal me
Padit ji ne hath mera dekha tha nainital me

Shadi shuda mardo ki halat dekhi hai maine rani – 2
Maine suni hai logo se dukhabhari unaki kahani

Ja pichha chhod de shisha e dil tod de
Mai na phasne vala hu teri adao ke jaal me
Padit ji ne hath mera dekha tha nainital me
Haa padit ji ne hath mera dekha tha bhopal me

Kaha tha pyare
Kya kaha kya kaha
Kaha tha pyare kabhi na padna shadi ke janjal me

MovieLoafer (1996)
SingerAlka Yagnik, Udit Narayan
Music ComposerAnand Shrivastav
LyricistSameer

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *