Bala ka husn gajab ka, shabaab neend mein hai – (2)
Hai jism jaise gulista, gulaab neend mein hai
Use jaraasa bhi padh lo toh shaayari aa jaaye – (2)
Abhi ghajhal ki mukkamal kitaab neend mein hai – (2)
Machal rahi hai mere dil mein did ki hasrat – (2)
Woh daale chehare pe neela nakaab neend mein hain – (2)
Woh inkalaab uthaata hai leke angadaayi – (2)
Sawaal jaaga huwa hai jawaab neend mein hai – (2)
| Movie | Ek Vivaah... Aisa Bhi |
| Singer | Shaan |
| Music Composer | Ravindra Jain |
| Lyricist | Ravindra Jain |