Na Apna Tha Jo Kal Guzara Lyrics  | Jeevan Rekha | Tabrez, Farida Jalal | Mukesh Chand Mathur (Mukesh) | Jagdish Rajpurohit

Na Apna Tha Jo Kal Guzara Lyrics | Jeevan Rekha | Tabrez, Farida Jalal | Mukesh Chand Mathur (Mukesh) | Jagdish Rajpurohit

Apni nazaro se bahut dur chhupa du khud ko
Jee me aata hai ki kahi rakh ke bhula du khud ko
Na apna tha jo kal guzara
Jo ab hai woh hai gairo ka
Nahi ummid ab koi hamara kal bhi kya hoga
Hamara kal bhi kya hoga
Na apna tha jo kal guzara

Badi ranayiya hongi jahan me ham nahi honge
Badi ranayiya hongi jahan me ham nahi honge
Hamare ek na hone se fasane kam nahi honge
Hamara aaj charcha hai toh kal auro ka phir hoga
Na apna tha jo kal guzara
Jo ab hai woh hai gairo ka
Nahi ummid ab koi hamara kal bhi kya hoga
Hamara kal bhi kya hoga
Na apna tha jo kal guzara

Ujadane ko hai phir mehfil nayi aabad kar lena
Ujadane ko hai phir mehfil nayi aabad kar lena
Nayi buniyaad jab rakho hame bhi yaad kar lena
Dukhana dil ko na hargij dukhakar dil ko kya hoga
Na apna tha jo kal guzara
Jo ab hai woh hai gairo ka
Nahi ummid ab koi hamara kal bhi kya hoga
Hamara kal bhi kya hoga
Na apna tha jo kal guzara.

MovieJeevan Rekha
SingerMukesh Chand Mathur (Mukesh)
DirectorNanabhai Bhatt
Music ComposerJagdish Rajpurohit
LyricistDev Kohli
Star CastTabrez, Farida Jalal, Pran, K N Singh, Ajit, Jalal Aga, Keshto Mukherjee, Chandrashekhar, Asit Sen
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *