Na aasman na sitare fareb dete hain
Na aasman na sitare fareb dete hain
Hume to apne sahare fareb dete hain
Na aasman na sitare fareb dete hain
Hume to apne sahare fareb dete hain
Na aasmaan
Bahar hasti huy kyu chaman me aati hai
Bahar hasti huy kyu chaman me aati hai
Ye chaar din ke liye phul kyun khilati hai
Nazar ko kyun ye nazare fareb dete hai
Hume to apne sahare fareb dete hain
Na aasmaan
Lagi hai aag khud apne hi aashiyane se
Lagi hai aag khud apne hi aashiyane se
Wo badnasib gila kya kare zamane se
Ke jisko apne hi pyare fareb dete hain
Hume to apne sahare fareb dete hain
Na aasman na sitare fareb dete hain
Hume to apne sahare fareb dete hain
Na aasman
| Movie | Neela Akash |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Director | Rajendra Bhatia |
| Music Composer | Madan Mohan |
| Lyricist | Raja Mehdi Ali Khan |
| Star Cast | Dharmendra, Mala Sinha, Madhvi, Mumtaz Begum, Mehmood, Shashikala, Raj Mehra, Madan Puri, Manorama, Sulochana, Jeevankala, Hari Shivdasani |

