Na Aadami Ka Koyi Bharosa Lyrics | Aadmi | Mohammed Rafi | Naushad

Na Aadami Ka Koyi Bharosa Lyrics | Aadmi | Mohammed Rafi | Naushad

Teri mohabbat pe shak nahi hai
Teri wafao ko maanta hu
Magar tujhe kiski aarju hai
Main ye hakikat bhi jaanta hu

Na aadami ka koyi bharosa
Na dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana
Na aadami ka koyi bharosa

Naa husn me ab woh dilakashee hai
Naa ishk me ab woh jindagi hai
Jidhar nigaahe uthake dekho
Sitam hain dhokhaa hain berukhi hai
Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana
Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana
Na aadami ka koyi bharosa

Dawa ka badale me jeher de do
Utaar do mere dil me khanjar
Lahu se sincha tha jis chaman ko
Uge hain shole ussi ke andar
Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Na aadami ka koyi bharosa
Na dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana

MovieAadmi
SingerMohammed Rafi
DirectorA Bhim Singh
Music ComposerNaushad
LyricistShakeel Badayuni
Star CastDilip Kumar, Waheeda Rehman, Manoj Kumar, Simi Garewal, Agha, Ulhas, Mohan Choti, Pran, Padma Chavan, Indu Shivraj, Sulochana

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *