Mujhe Teri Mohabbat Ka Lyrics | Aap Aye Bahaar Ayee (1971) | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Mujhe Teri Mohabbat Ka Lyrics | Aap Aye Bahaar Ayee (1971) | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Dilshad tha ke phool Khilenge bahar mein
Mara gaya garib isi aitbar mein

Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Na tha manzur kismat ko na thi marzi baharo ki
Nahi to is gulistan mein
Nahi to is gulistan mein kami thi kya nazaro ki
Meri nazaro ko bhi koi nazara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Khushi se apni aankho ko main ashko se bhigon leta
Mere badle tu hans leti
Mere badle tu hans leti tere badle main ro leta
Mujhe ae kash tera dard sara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Mili hai chandni din ko yeh unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se faqat itni shikayat hai
Mujhe toota hua koi sitara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota.

MovieAap Aye Bahaar Ayee (1971)
SingerLata Mangeshkar, Mohammed Rafi
DirectorMohan Kumar
Music ComposerLaxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
LyricistAnand Bakshi
Star CastRajendra Kumar, Sadhana, Prem Chopra
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *