Motee ho toh bandh key rakh lu, pyar chhupau kaise
Woh chehra hai, har chehre me use bhulau kaise – (3)
Chand nahee, phul nahee, koyee nahee unasa hasin – (2)
Kaun hain woh, kya nam hai unaka, yaha batau kaise
Motee ho toh bandh key………
Ho khoya huwa hai har saman, yar bina suna hai jahan – (2)
Nil gagan key chand ko banho me ley aau kaise
Motee ho toh bandh key………
O ho chahe jinhe meree najar hay nahee unako kabar – (2)
Band hai mandir kaa darwaja phul chadhau kaise
Motee ho toh bandh key………
| Movie | Daulat |
| Singer | Kishore Kumar |
| Music Composer | R D Burman |
| Lyricist | Nida Fazli |