Jo mai aisa janti
Ke prit kiye dukh hoy
O nagar dhidhora pitati
Ke prit na kariyo koyi
Mohe bhul gaye sanvariya bhul gaye sanvariya – 2
Aavan kah gaye ajahu na aaye – 2
Lini na mori khabariya
Mohe bhul gaye sanvariya bhul gaye sanvariya
(Dil ko diye kyo dukh birha ke
Tod diya kyo mahal bana ke) – (2)
Aas dila ke o bedardi – 2
Pher li kahe najriya
Mohe bhul gaye sanvariya bhul gaye sanvariya
(Nain kahe ro ro ke sajna
Dekh chuke ham pyaar ka sapna) – (2)
Prit hai jhuti pritam jhuta – 2
Jhuti hai sari nagariya
Mohe bhul gaye sanvariya bhul gaye sanvariya
| Movie | Baiju Bawra |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Music Composer | Naushad Ali |
| Lyricist | Shakeel Badayuni |