Mittee Se Khelate Ho Baar Baar Kis Liye Lyrics | Patita | Lata Mangeshkar | Shankar-Jaikishan

Mittee se khelate ho baar baar kis liye – (2)
Tute huye khilauno se pyaar kis liye – (2)

Banaake jindagaaniya bigaad ne se kya mila
Meree ummid kaa jahaan -2 ujaad ne se kya mila
Aayee thee do dino kee yeh bahaar kis liye
Mittee se khelate ho baar baar kis liye – (2)

Jara see dhul ko hajaar rup naam de diye
Jara see jan sar pe saat aasmaan de diye
Barbaad jindagee kaa yeh singaar kis liye
Mittee se khelate ho baar baar kis liye – (2)

Jamin ghair ho gayee, yeh aasmaan badal gaya
Hawa ke rukh badal gaye -2 har ek phul jal gaya
Bajate hain abb yeh, saanso ke taar kis liye
Mittee se khelate ho baar baar kis liye – (2)

MoviePatita
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerShankar-Jaikishan
LyricistShailendra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *