Mere Bas Mein Lyrics  | Saanch Ko Aanch Nahin | Arun Govil, Madhu Kapoor | Shailendra Singh | Raamlaxman (Vijay Patil)

Mere Bas Mein Lyrics | Saanch Ko Aanch Nahin | Arun Govil, Madhu Kapoor | Shailendra Singh | Raamlaxman (Vijay Patil)

Mere bas mein agar kuch hota to
Aansu teri aankho mein aane na deta
Mere bas mein agar kuch hota to
Aansu teri aankho mein aane na deta
Sara dard akele sah leta
Tujhe main gham koi uthane na deta

Tu hal mera na jane
Main hal tera na janu
Kaisi hai ye majburi
Main tum tak aau kaise
Lagta hai ab to aise
Yug yug ki hai duri
Mai hu bebas warna kisi ko
Judai ke ye kate bichhane na deta
Mere bas mein agar kuch hota to
Aansu teri aankho mein aane na deta

Hone do jo hai hona
Hai pyar hamara sona
Tuta kaach nahi hai
Ye yaad rahe eye humdum
Ek roz milenge hum tum
Saanch ko aanch nahi
Mujhe ye viswas hota
To dur tujhe najro se jane na deta
Mere bas mein agar kuch hota to
Aansu teri aankho mein aane na deta
Sara dard akele sah leta
Tujhe main gham koi uthane na deta.

MovieSaanch Ko Aanch Nahin
SingerShailendra Singh
DirectorSatyen Bose
Music ComposerRaamlaxman (Vijay Patil)
LyricistKulwant Jani
Star CastArun Govil, Madhu Kapoor, Om Puri, Gajanan Jagirdar, Birbal, Sunder
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *