Meghaa Re Meghaa Re Mat Parades Jaa Re Lyrics | Pyaasa Sawan | Lata Mangeshkar, Suresh Wadkar | Laxmikant Pyarelal

Meghaa Re Meghaa Re Mat Parades Jaa Re Lyrics | Pyaasa Sawan | Lata Mangeshkar, Suresh Wadkar | Laxmikant Pyarelal

Meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Mat parades jaa re
Aaj tu prem kaa sadesh barsaa re
Meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Mat parades jaa re
Aaj tu prem kaa sadesh barsaa re
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Mat parades jaa re
Aaj tu prem kaa sadesh barsaa re
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re

Kahaan se tu aayaa kahaan jaayega tu
Ke dil ki agan se pighal jaayega tu
Dhuaan ban gayi hai khyaalo ki mahfil
Mere pyaar ki jaane kahaan hogi manzil
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Mere gam ki tu davaa re
Davaa re
Aaj tu prem kaa sadesh barsaa re
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re

Barasane lagi hai bunde tarasne lagaa hai man
Ho
Zaraa koi bijali chamaki larazne lagaa hai man
Aur na daraa tu mujhko o kaale kaale ghan
Mere tan ko chhu rahi hai prit ki pahali pavan
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Meri sun le sadaa re
Aaj tu prem kaa sadesh barsaa re
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re

Man kaa mayuraa aaj magan ho rahaa hai
Mujhe aaj ye kyaa sajan ho rahaa hai
Umango kaa saagar umadne lagaa hai
Baabul kaa aangan bichhadne lagaa hai
Na jaane kahaan se hawaa aa rahi hai
Udaake ye hamko liye jaa rahi hai
Ye rut bhigi-bhigi bhigone lagi hai
Ke mithe se nashtar chubhone lagi hai
Chalo aur duniyaa basaenge ham tum
Ye janmo kaa naataa nibhaayege ham tum
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
De tu hamako duaa re
Aaj tu prem kaa sadesh barsaa re
Ho meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re
Meghaa re meghaa re

MoviePyaasa Sawan
SingerLata Mangeshkar, Suresh Wadkar
DirectorNarayan Rao
Music ComposerLaxmikant Pyarelal
LyricistSantosh Anand
Star CastJeetendra, Reena Roy, Moushmi Chatterjee, Deven Verma, Madan Puri, Vinod Mehra, Asha Lata, Aruna Irani

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *