Mariz-e-ishq Hu Aye Janeman Lyrics | Bin Badal Barsaat | Mohammed Rafi | Hemant Bhosle

Mariz-e-ishq Hu Aye Janeman Lyrics | Bin Badal Barsaat | Mohammed Rafi | Hemant Bhosle

Marij-e-ishq hu aye janeman
Meri dua lena
Main mar jaau to meri lash ko
Dulha bana dena
Marij-e-ishq hu aye janeman
Meri dua lena

Tamanna hain ki mar kar
Chhod jau yaadgar apani
Tamanna hain ki mar kar
Chhod jau yaadgar apani
Kisi photographar se
Mera photo khincha dena
Marij-e-ishq hu aye janeman
Meri dua lena

Ye hasrat hain ke mit kar bhi
Tumhare kaam aau main
Ye hasrat hain ke mit kar bhi
Tumhare kaam aau main
To tum chaho to
Meri khaal ki chappal bana lena
Marij-e-ishq hu aye janeman
Meri dua lena

Kahi aisa na ho
Duniya tumhe katil samajh baithe
Kahi aisa na ho
Duniya tumhe katil samajh baithe
Mara hu apani marji se
Police ko ye bata dena
Marij-e-ishq hu aye janeman
Meri dua lena
Main mar jaau to meri lash ko
Dulha bana dena

MovieBin Badal Barsaat
SingerMohammed Rafi
DirectorJyoti Swaroop
Music ComposerHemant Bhosle
LyricistShakeel Badayuni
Star CastBiswajeet, Asha Parekh, Mehmood, Moni Chatterjee, Padma Chavan, Dev Kishan, S N Banerjee, Nishi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *