Mai Nahi Manunga Mati Ke Putle Ko Bhagwan Lyrics | Chandrakanta | Mohammed Rafi | N Datta

Mai Nahi Manunga Mati Ke Putle Ko Bhagwan Lyrics | Chandrakanta | Mohammed Rafi | N Datta

Lakh bar dhikar tujh par o nirlaj insan
Jhuk gaya atyachar ke aage tera dhrm iman
Main nahi manunga main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan
Tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman
Main nahi manunga

Jinko bal ka man hai unse kahdo ye ja kar
Jinko bal ka man hai unse kahdo ye ja kar
Kat sakta hai jhuk nahi sakta bal kavi ka sar
Main karta hun aaj bhare bajar me ye ailan
Main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan
Tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman
Main nahi manunga

Mera bhagwan wo hai jiski rachna hai sansar
Mera bhagwan wo hai jiski rachna hai sansar
Mera bhagwan wo hai jo sab ka palanhar
Us bhagwan ke badale kaise le lu ye shaitan
Main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan
Tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman
Main nahi manunga

Kitne kans aur kitne ravan is dharti par aaye
Kitne kans aur kitne ravan is dharti par aaye
Kisi dusht ke aageprbhu ke bhagat na jhukne paye
Dharm raha hai dharm rahega prithwi par balwan
Main nahi manunga mati ke putale ko bhagwan
Tum chaho to kayar ban kar sah lo ye apman
Main nahi manunga main nahi manunga

MovieChandrakanta
SingerMohammed Rafi
DirectorG P Sippy
Music ComposerN Datta
LyricistSahir Ludhianvi
Star CastBharat Bhushan, Bina Roy, Bipin Gupta, Hiralal, B M Vyas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *