Maein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya Lyrics | Hum Dono (1961) | Mohammad Rafi | Jaidev Verma

Maein zindagi ka saath nibhata chala gaya
Har fikar ko dhuen mein udata chala gaya

Barbadiyon ka shok manana fizul tha
Barbadiyon ka jashan manata chala gaya
Har fikar ko dhuen mein uda…

Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
Jo kho gaya maein usko bhulata chala gaya
Har fikar ko dhuen mein uda…

Gham aur khushi mein farq na mehsoos ho jahan
Maein dil ko us muqaam pe laata chala gaya
Har fikar ko dhuen mein uda…

MovieHum Dono (1961)
SingerMohammad Rafi
Music ComposerJaidev Verma

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *