Madhuban khushbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Jina uska jina hai
Jo auro ko jiwan deta hai
Madhuban khushbu deta hai
Suraj na ban paye to ban ke deepak jalta chal
Suraj na ban paye to ban ke deepak jalta chal
Phul mile ya angare
Sach ki raho pe chalta chal
Sach ki raho pe chalta chal
Pyar dilo ko deta hai
Ashko ko daman deta hai
Jina uska jina hai
Jo auro ko jiwan deta hai
Madhuban khushbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Madhuban khushbu deta hai
Chalti hai laharake pawan ke sans sabhi ki chalti rahe
Chalti hai laharake pawan ke sans sabhi ki chalti rahe
Logo ne tyag diye jiwan
Ke preet dilo me palti rahe
Ke preet dilo me palti rahe
Dil wo dil hai jo auro ko
Apni dhadkan deta hai
Jina uska jina hai
Jo auro ko jiwan deta hai
Madhuban khushbu deta hai
Sagar sawan deta hai
Madhuban khushbu deta hai
| Movie | Saajan Bina Suhagan |
| Singer | Yesudas, Anuradha Paudwal |
| Director | Sawan Kumar Tak |
| Music Composer | Usha Khanna |
| Lyricist | Amit Khanna |
| Star Cast | Rajendra Kumar, Nutan, Vinod Mehra, Kasturi, Padmini Kolhapure, Aarti Chopra, Shreeram Lagoo |

