Kya hua
Ik baat par barso ka yarana gaya
Is bahane dosto ka pyaar pahchana gaya
Kya hua
Kya hua
Kya hua
Ik baat par barso ka yarana gaya
Kya sunaye ham kisi ko
Pyaar ki ye dasta
Kya sunaye ham kisi ko
Pyaar ki ye dasta
Pyaar ki ye dasta
Jaan jaane ko hai baaki
Dil to divana gaya
Kya hua
Ik baat par barso ka yarana gaya
Unka
Unke gam ka ai dil
Ab kare afasos kya
Unka
Unke gam ka ai dil
Ab kare afasos kya
Ab kare afasos kya
Jisko aana tha vo aaya
Jisko tha jaana gaya
Kya hua
Ik baat par barso ka yarana gaya
Unse milne ki ijaazat
Ek bas hamko nahi
Unse milne ki ijaazat
Ek bas hamko nahi
Ek bas hamko nahi
Unse milne unke ghar
Har apna begana gaya
Kya hua
Ik baat par barso ka yarana gaya
Is bahane dosto ka pyaar pahchana gaya
Kya hua
Kya hua
Kya hua
Ik baat par barso ka yarana gaya
| Movie | Teri Kasam |
| Singer | Amit Kumar |
| Director | A C Trilok Chandra |
| Music Composer | R D Burman |
| Lyricist | Majrooh Sultanpuri |
| Star Cast | Kumar Gaurav, Poonam Dhillon, Girish Karnad, Monty, Nirupa Roy, Paintal, Rakesh Bedi, Birbal, Mushtaq Merchant, Manmouji, Mukul Agrawal, Padmini Kapila, Laxmikant Kudalkar, Ranjeeta, Raj Kishore, Raj Mehra, Ranjeet, Nazima, Jyoti Bakshi, Kanti |

